• Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

    Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Tyoharon ki season chal raha hai aur mausam bhi badal rahi hai. Aise mein twacha ko vishesh dekhbhal ki aavashyakta hai. Tyoharon ke samay har mahila sundar dikhna chahti hai aur aise mein rookhi, bejaan aur daag dhabbe-wali twacha sabse adhik pareshan karti hai. Aise mein mahilayein apne chehre ko chamkane ke liye beauty parlour ke chakkar lagati hai, mehange mehange cosmetics khareedti hai. Agar aap in sabse bachna chahti hai to kayi gharelu upay chamatkar kar sakte hai. Face mask, aloe vera mask, fruit mask, dahi ka mask, kheer ka face mask, kele ka mask, doodh aur shahad ka mask, face scrub, face massage, aadi iske tareeke hai. Santulit aur poshak bhojan karein, isse aapki twacha swasth aur chamkeeli rahegi. Taileey aur masaledar bhojan ka sevan na karein ya kam karein. Drinks aur caffeine ka sevan kam karein kyunki inka adhik matra mein sevan karne se muhaase aur twacha sambandhit anya samasyayein aa jaati hai. Finger chips, burger, pizza aur doosre junk food ke sevan se bachein. Isse aapki twacha dull ho jaati hai. Din mein kam-se-kam teen alag alag rangon ke phal khayein. Phal anti-oxidants se bharpoor hote hai aur twacha ko free radicals se bachate hai. Atyadhik matra mein doodh aur dugdh utpadon ka sevan na karein, isse muhason ki samasya ho sakti hai. Adhik matra mein mithaiyon aur chocolates ka sevan na karein, kyunki inse wazan bhi badhta hai aur twacha bhi dull ho jaati hai. Tyoharon ke samay agar taileey aur masaledar bhojan ke kaaran sabziyon ka intake kam ho jaaye to salad zaroor khayein. Kachchi sabziyan twacha ki chamak banaye rakhti hai.
    Show more Show less
    14 mins
  • Yoga

    Yoga

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Aaj ki tez raftar zindagi se taalmel baithane ke liye swasth aur oorja se bharpoor hona bahut zaroori hai, aur iske liye yog se behtar kya ho sakta hai. Yog se na keval sharirik roop se swasth rehne mein sahayta milti hai, balki maansik shanti bhi prapt hoti hai. Hum sharirik roop se sakriya na rahein to hamara sharir kada va thaka hua aur mastishk ashant ho jayega. Agar aapne jeevan mein kabhi yog na kiya ho to aaj se hi prarambh kar dein, kyonki achchhe karya jab bhi prarambh kiye jaayein unse laabh hi hota hai. Yog ke baare mein jankari dene ke liye hum aapko kuchh paramparik aur kuchh aadhunik yog vidhiyon ke baare mein bata rahe hai. Tanav aur avsad adhunik jeevanshaili ki den hai. Isse rakt mein stress hormone ka strav badhta hai aur rog pratirodh kshamta ghat-ti hai, jisse vyakti asaani se rogon ki chapet mein aa jaata hai. Yog nidra vyakti ki mansik kshamta ko badhati hai aur use rogmukt rakhti hai. Jinhe migraine hai, agar vah niyamit roop se yog nidra karein to migraine ke daure se bacha ja sakta hai. Vastav mein yah jaagte hue gehri neend lene ki prakriya hai aur yah gehri neend ke barabar hi tazgi, shanti aur oorja deti hai. Metro sheharon mein yog tezi se logon ke jeevan mein shamil hota ja raha hai aur ismein sabse naya trend hai hat yog. Aajkal khud ko fit rakhne ke liye hat yog logon ki pehli pasand banti ja rahi hai. Hamari sanskriti mein yog ko fitness ka sabse saral mantra bataya gaya hai. Ab isme naye naye concept jude jaa rahe hai. Hat yog vastav mein yog ka hi ek naya roop hai. Yog ke abhyas se sabhi dard se aaram milta hai.
    Show more Show less
    16 mins
  • Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

    Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Hamare nakhun keratin naamak protein se bane hote hai. Swasth nakhun chikne aur chamakdar hote hai. Unka rang ek samaan hota hai, kahin koi daag-dhabba nahi hota hai. Har koi chahta hai ki uske nakhun swasth aur chamakdar ho, lekin nakhunon ko sundar rakhne ke liye sirf upari dekhbhal aur saaf safai hi zaroori nahi hai, balki paushtik khadya padarthon ka sevan bhi zaroori hai. Nakhunon ko swasth rakhne ke liye achchhe poshan ki aavashyakta hoti hai. Poshak bhojan ke sevan se nakhunon ka vikas bhi hota hai aur wo shaktishali bhi bante hai. Aise bhojan, jisme calcium, zinc, iron aur vitamin A, B, C, aur D ki matra adhik hoti hai, yah nakhunon ko poshan pradan karte hai. Zinc ki kami ho jaane se nakhunon par safed dhabbe ho jaate hai. Root vegetables, sabut anaaj, mans aur machhli zinc ke achchhe strot hai. Calcium prapt karne ke liye doodh, dugdh utpadon, hari pattedar sabziyon, kele, bread, tofu aadi ka sevan karein. Swasth nakhunon ke liye iron aur protein yukt khadya padarthon, hari pattedar sabziyon, anaar, doodh, ande aur mansahari khadya padarthon ko bhi apne diet chart mein sthaan dein. Protein ki kami se nakhun kamzor hokar toot sakte hai. Vitamin B jaise biotin koshikaon ke badhne mein madad karte hai. Biotin ki kami hone se nakhun asani se toot-te hai. Yah vitamin daal, doodh aur dugdh utpadon mein paaya jaata hai. Jab nakhunon ki niyamit roop mein dekhbhal ki jaati hai, tabhi wo sundar aur akarshak dikhte hai. Nakhun sundar dikhne ke liye saptah mein kam-se-kam do din hand massage bhi karni chahiye.
    Show more Show less
    14 mins
  • Green Tea Ek Faayde Anek

    Green Tea Ek Faayde Anek

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Kuchh varshon se green tea bharat mein sabse lokpriya drink ke roop mein ubhri hai. Kayi adhyayanon mein yah baat saamne aayi hai ki green tea keval ek pey padarth nahi hai. Agar sahi tareeke se iska sevan kiya jaaye to yah kisi health tonic se kam nahi hai. Isme koi do raay nahi ki green tea bahut labhdayak hai, lekin kayi log iska sevan atyadhik matra mein aur bina soche samjhe kar rahe hai. Ek din mein kitne cup green tea ka sevan kiya jaaye, iska sevan kab aur kab na kiya jaaye, kin logon ko iske sevan se bachna chahiye, ye kuchh baatein hai jinki jaankari hona bahut zaroori hai. Green tea mein vitamin B, magnesium, potassium, caffeine, aur catechins naamak antioxidants hote hai. Cheen mein paramparik upchar mein ise dawai ki tarah upyog kiya jaata hai. Swasthya visheshagyon ke anusar green tea ek naya super-food hai. Waise takneeki roop se green tea food nahi hai, lekin swasthya visheshagyon aur naturopathy ka maan-na hai ki green tea hamari sehat ke liye bahut upyogi hai. Isme calorie ki matra kam hoti hai aur yah antioxidants se bharpoor hoti hai. Haal mein hue kayi adhyayanon mein yah baat samne aayi hai ki green tea wazan kam karne se lekar type-2 diabetes tak ke khatre ko kam karti hai. Green tea mein catechin naamak ek rasayan hota hai, jo sharir ko free radicals se ladne mein sahayta karta hai. Yah sharir ke koshikaon ko free radicals ke hanikarak prabhav se bhi bachata hai.
    Show more Show less
    20 mins
  • Baalon Ka Jhadna Kaise Rokein

    Baalon Ka Jhadna Kaise Rokein

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Aaj har koi baal jhadne ki samasya se pareshan hai. Baalon ka jhadna kaise roka jaaye, ise jaan-ne se pehle yah samajhna zaroori hai ki inke jhadne ka kaaran kya hai. Atyadhik baal jhadne ki samasya ko Alopecia kehte hai. Yah is baat ka sanket hai ki aapke sharir ke saath kuchh galat ho raha hai. Mansik aur sharirik tanav, anuvanshik kaaran aur poshak bhojan ki kami baalon ke jhadne mein mahatvapoorn bhoomika nibhate hai. Baalon ko jhadne se bachane ke liye jeevanshaili mein badlav laana sabse zaroori hai. Samanya roop se baal ek niyamit vikas chakra se guzarte hai. Anagen phase mein, jiski avadhi teen se chaar varsh hoti hai, baal badhte hai. Telogen phase ke dauran, jo kareeb teen maheene tak chalti hai, baal aaram karte hai. Telogen phase ke ant mein baal gir jaate hai aur inke sthaan par naye baal aa jaate hai. Pratidin pachas se sau baalon ka girna samanya baat hai. Har samay hamare 10 pratishat baal resting phase mein hote hai aur do se teen maheene baad baal gir jaate hai tatha unki jagah naye baal aa jaate hai. Kuchh logon mein baal girne ki samasya samanya se zyada hoti hai. Iska kaaran scalp yaani khopdi ka kamzor hona hai. Scalp ki mazbooti ke liye niyamit aur santulit vyayam, paryapt neend, paryapt paani aur tanav se mukti zaroori hai. Aapke baal sardi mein ghane aur garmiyon mein patle lagte hai. Aksar kayi logon ko mausam mein badlav ke kaaran baal jhadne ki samasya ho jaati hai. Baal jhadne ke aise anek kaaran hai.
    Show more Show less
    14 mins
  • Mahilaon Mein Hriday Rog

    Mahilaon Mein Hriday Rog

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Pichhle ek dashak mein mahilaon mein dil ki bimariyon ke maamle paanch guna tak badh gaye hai. Pehle bimariyon ko umra ke saath joda jaata tha, lekin ab bimariyon seedhi taur par jeevanshaili se judi hai. Badli jeevanshaili ke kaaran mahilayein bhi tezi se un bimariyon ki chapet mein aa rahi hai jinhe pehle purushon ke saath joda jaata tha. Aadhunik jeevanshaili aur career se upje tanav ke chalte aajkal mahilayein bhi badi tezi se dil ki bimariyon ki shikar ho rahi hai. Chikitsakon ke anusar mahilaon mein female hormone dil ki bimariyon mein ek raksha kavach ka kaam karta hai, kintu badalti jeevanshaili va career sambandhi tanav ke chalte yuva avastha mein hi hormone ka star ghatne lagta hai. Yahi kaaran hai ki mahilaon mein heart attack tezi se badh raha hai tatha mahilayein badi sankhya mein is bimari se maut ki shikar ho rahi hai. Kuchh varshon pehle jahan heart attack se marne-wale purushon aur mahilaon ka anupat 10:2 tha, wahi ab yah anupat badhkar 10:7 ho gaya hai. Agar mahilaon mein heart attack ke maamle isi tezi se badhte rahe to bahut jaldi ye anupat samaan ho jaayega. Jab heart attack ke pehle heart attack ke koi lakshan nazar aaye to use silent heart attack kaha jaata hai. Mareez ko dil ka daura padne ka ehsaas nahi hota, isliye doctor ki sahayta milne mein der ho jaati hai. Is kaaran hriday ki manspeshiyon ko hua nuksaan jeevan gavane ka kaaran ban sakta hai. Kareeb pachees se tees pratishat heart attack silent hote hai aur mahilaon mein yah purushon se zyada hote hai.
    Show more Show less
    14 mins
  • Mahilaon Ko Chahiye Adhik Poshan

    Mahilaon Ko Chahiye Adhik Poshan

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Mahilaon aur purushon dono ko hi santulit bhojan, paryapt neend, bharpoor paani aur niyamit roop se exercise karne ki zaroorat hoti hai. Nau saal tak ke ladke aur ladkiyon ko ek samaan poshak tatvon ki zaroorat hoti hai. Lekin umra badhne ke saath sharirik parivartanon ke kaaran dono ki poshak tatvon ki zaroortein badal jaati hai. Ek yuva purush ko pratidin do hazar se saade-do hazar kilo calorie ki aavashyakta hoti hai, jabki usi aay ki mahila ko ek hazar aath sau se do hazar do sau kilo calorie ki. Lekin in aakdon se yah nahi samajhna chaahiye ki mahilaon ke sharir ko poshak tatvon ki bhi kam aavashyakta hoti hai. Sachchai to yah hai ki ek mahila ko apne umr ke purush ke mukable zyada poshak tatvon ki zaroorat hoti hai. Mahilaon ki sharirik banavat naazuk hone ke saath hi jatil bhi hoti hai. Unhe bimariyon ka khatra to purushon ki tarah hi hota hai lekin maasik dharm, garbhavastha, stanpaan aur menopause ke kaaran unhe kayi sharirik samasyaon ka saamna karna padta hai. Isliye zaroori hai ki khud ko fit aur swasth rakhne ke liye mahilayein apni sharirik zarooraton ko samjhein. Unnis se pachas saal ki mahilaon ko pratidin atharah milligram iron ki avashyakta hoti hai. Garbhavastha ke samay to iron ki avashyakta aur badh jaati hai. Lekin isi aayu seema ke purushon ko pratidin sirf aath milligram iron ki avashyakta hoti hai. Jo mahilayein garbh nirodhak goliyon ka sevan karti hai, uske sharir ko iron ki avashyakta samanya mahilaon se adhik hoti hai. Isliye mahilaon ko hamesha apne poshan par vishesh roop se dhyaan dena chahiye.
    Show more Show less
    16 mins
  • Kaamkajee Mahilaon Ki Swasthya Samasya

    Kaamkajee Mahilaon Ki Swasthya Samasya

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Kaamkaji mahilaon ko ghar aur bahar ki dohri zimmedari uthani padti hai, isse unki jeevanshaili kaafi badal jaati hai. Office mein kayi ghanton computer ke saamne baithkar kaam karna, sharirik sakriyata ki kami, junk food ka sevan, tanav ka badhta star aur anidra mahilaon ke swasthya ko buri tarah prabhavit kar rahe hai. Badalti jeevanshaili ke kaaran unki rog pratirodhak khamta bhi kamzor ho rahi hai, jisse ve bimariyon ki aasan shikar ban rahi hai. Lekin kayi aise upaay hai jinhe apna kar kaamkaji mahilayein swayam ko fit aur swasth rakh sakti hai, saath hi rogon ki chapet mein aane se khud ko bacha bhi sakti hai. Bharat mein breast cancer ke lagatar badhte aankde chaukane-wale hai. Dilli, Mumbai aur Bangalore jaise mahanagaron ki mahilayein tezi se iski shikar ho rahi hai. Badalti jeevanshaili ke kaaran mahilayein career ko prathamikta deti hai aur shaadi ki umr badhti jaati hai. Jo mahilayein pachees aur tees ke beech ya paintees ke baad maa banti hai, unme breast cancer ka khatra badh jaata hai kyunki unke sharir mein estrogen adhik samay tak reh jaata hai. Iske alawa kaamkaji mahilayein theek tarah se apne bachchon ko breast feeding nahi kara paati, aur isse breast cancer ka khatra badh jaata hai kyunki unke sharir mein estrogen adhik samay tak reh jaata hai. Doctoron ka kehna hai ki jo mahilayein bachchon ko ek saal tak doodh pilati hai, unmein breast cancer ka khatra gyarah pratishat tak kam ho jaata hai aur agar yah avadhi chaubees maheene tak hoti hai to yah khatra pachees pratishat tak kam ho jaata hai. Is pustak mein kaamkaji mahilaon ko swasth rehne ke liye kuchh tips aur salaah diye gaye hai.
    Show more Show less
    14 mins